Song Title: Aayee Ab Ki Saal Diwali
Movie: Haqueeqat
Singer: Lata Mangeshkar
Actor(s): Dharmendra, Priya Rajvansh
Music Director: Madan Mohan
Lyricist: Kaifi Azmi
Lyrics:
aayee ab ki saal divaali muNh par apne khoon male
aayee ab ki saal divaali
chaaroN taraf hai ghor andheraa ghar mein kaise deep jale
aayee ab ki saal divaali
baalak tarse phuljhaDiyoN ko, (deepoN ko deevaaren -2)
maaN ki godi sooni sooni, (aaNgan kaise sanvaare -2)
raah mein unki jaao ujaaloN ban mein jinki shaam Dhale
aayee ab ki saal divaali
jinke dam se jagmag jagmag (karti thi ye raaten -2)
chori chori ho jaati thi (man se man ki baaten -2)
chhoD chale vo ghar mein amaavas, jyoti lekar saath chale
aayee ab ki saal divaali
Tap-Tap Tap-Tap Tapke aaNsoo, (chhalki khaali thaali -2 )
jaane kyaa kyaa samjhaati hai (aaNkhoN ki ye laali -2)
shor machaa hai aag lagi hai kaTte hain parvat pe gale
aayee ab ki saal divaali muNh par apne khoon male
chaaroN taraf hai ghor andheraa ghar mein kaise deep jale
aayee ab ki saal divaali
Song Title: Lakhon Tare Aasman Mein
Movie: Hariyali Aur Rasta
Singer(s): Mukesh, Lata Mangeshkar
Lyrics:
Mukesh:
Lakhon tare, aasman mein, ek magar dhoondhe na mila
Dekhke duniya ki diwali, dil mera chupchaap jala,
Dil mera chupchaap jala
Lata:
Lakhon tare, aasman mein, ek magar dhoondhe na mila
Ek magar dhoondhe na mila
Mukesh:
Qismat ka hai, naam magar hai, kum hai yeh duniya waalon ka
Phoonk diya hai chaman humare khwaabon aur khayalon ka
Ji karta hai khud hi ghonth de, apne armaano ka gala
Dekhke duniya ki diwali, dil mera chupchaap jala,
Dil mera chupchaap jala
Lata:
Sau-sau sadiyon se lambi yeh, ghum ki raat nahin dhalti
Is andhiyaare ke aage ab, ayi dil ek nahin chalti
Hanste hi lut gayi chaandni, aur uthte hi chaand dhalaa
Dekhke duniya ki diwali, dil mera chupchaap jala,
Dil mera chupchaap jala
Mukesh:
Maut hai behtar is haalat se, naam hai jiska majboori
Lata:
Kaun musaafir tay kar paaya, dil se dil ki yeh doori
Mukesh:
Kaantho hi kaantho se guzra, jo raahi is raah chala